Thursday, December 30, 2010

Ek JaAm eK aAgAaZ kE nAaM..........

Kuch gungunane ko mann karta hai,
Thoda muskarane ko mann karta hai,
Teri berukhi ko parakh chuke hain hum,
Fir bhi , tujhe azmane ka mann karta hai...

Chalte raahon me agar thokar jo khata hun,
To rah ka har woh pathar begana lagta hai.
Par dhundne lagu kabhi,to jane-anjane hi sahi ,
Enhin patharon mein tera aks lagta hai,
Ae khuda! nahi jeene ki chahat rahi ab mujhme,
Bas tere aashiyane mein fanaa ho jaane ko mann karta hai....

Kuch gungunane ko mann karta hai,
Thoda muskarane ko mann karta hai...

Raat bhi agar so jaye to, aankhen ye namm nahi hoti,
Taaron ke beech teri yeh chandni kam nahi hoti,
Choo bhi nahi sakta,ae chaand tujhe, jaanta hun main,
Fir bhi tere aanchal ke saaye mein so jaane ko mann karta hai.....

Kuch gungunane ko mann karta hai,
Thoda muskarane ko mann karta hai....

Teri chahat ki namaaz ko, din-raat padhte hain kai,
Tere husn ke shabab ko,tarsein yahaan aankhen kai,
Khwaabon mein to hum bhi,teri aahat ki tamanna rakhte hain,
Bas aaj tamanna ko haquekat mein pa guzarne ka mann karta hai....

Kuch gungunane ko mann karta hai,
Thoda muskarane ko mann karta hai,
Teri berukhi ko parakh chuke hain hum,
Fir bhi , tujhe azmane ka mann karta hai....
Fir azmane ka mann karta hai......




No comments:

Post a Comment